क्या पता कल हो ना हो

Kya pata kal ho na ho?

Aksar hum zindagi me kal ki
Etni fiqar karte hain,
Ki ye bhul hi jate hain
Ki agar khuda ne hamari jholi me
\"AAJ\" rakha hain toh khud ko
Khush kismat samjhein
Aur shukraguzaar rahein

But hum kal ki chinta me
Apna aaj bhi khrab kr dete hain,
Sochte reh jate hain ki
Agar ye nahi hua toh kya hoga,
Agar ye ho gaya to kya hoga...
And Wagerah wagerah...

So Tum jis kal ke bare me soch soch kr
Paresaan Ho rahe ho, kya pata
Wo ho na ho, kya pata wo naya kal
Kuch aur hi lekar aaye tumhre liye,
And Aisa jo kabhi socha bhi na ho

Baat ye nahi ki ye din
zindagi ka aakhri din hain,
Par agar hum ese aise hi jiye
Ki ye din kabhi laut ke nahi aayega,
Ye waqt, ye har beetata lamha,
Kabhi laut ke nahi aayega

To zarur hum kal ki fiqar chod
Aaj ko jiyenge
Kyunki pareshaniya,
Chintaye, zindagi ka hissa hoti hain
Wo chalti hain jab tak hum zinda hain,
Aur hamari umar bas inko khatam
Karne me hi beet jati hain

Ho sakta hain
kuch haasil krne ki chinta ho,
Ho skta hain
Kahin poochne ki chinta ho,
Ho skata hain
Kuch gawane ki chinta ho...

Chinta, paresaani,
ye hissa hain zindagi ka...
So Enhe hissa hi rehne do,
Enhe zindagi mt banao,
Aur koshish karo apne
Aaj ko khushi khushi jeene ki

Becuase Kya pata kal ho na ho..!!🖤💫

༺═─────────────────═༻

One comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *